hue aaj budhe jawani mein kya the jab utthe the zanu se hath aashna the jahan ki to har chiz mein ek maza tha na samjhe ki kis shai ke hum mubtala the na kafir se khilat na zahid se ulfat hum ek bazm mein the pa sab se juda the na tha mere jangal mein aazad koi bagule bhi paband-e-zulf-e-hawa the mazar-e-gharib tassuf ki ja hai wo sote hain phirte jo kal ja-ba-ja the bana kar bigada hamein kyun jahan mein ye sab harf kya sahw-e-kilk-e-qaza the kiye aakhiri nale do-chaar main ne wahi nale bang-e-shikast-e-dara the khuda jaane duniya mein kis ko thi rahat 'hawas' hum to jine se apne khafa the