kitna lamba tera safar dariya is ko kar thoda mukhtasar dariya is zamin par hai be-ghari qismat mar ke ban jae apna ghar dariya mil gaya ja ke ab samundar se wah tu ho gaya amar dariya bandh kar bandh tujh ko rok liya marka ho gaya hai sar dariya beach apne jo ho gai hail is bulandi se ab utar dariya tera sailab sang-dil hai bahut is ghamandi ke par katar dariya kuchh nasheb-o-faraaz lazim hain sidhe sidhe na kar safar dariya chashm-e-'aqib' mein aa ke thahr zara yun na phir ab bhi dar-ba-dar dariya