pakizgi nahin hai ridaon mein in dinon masumiyat rahi na adaon mein in dinon ras aa gai hasinon ko shahron ki raushni mausam bahut udas hai ganw mein in dinon ashab-e-kahf ki tarah jo nek log hain gosha-nashin hain wo guphaon mein in dinon shaffaf raston se to lipti hui hai dhund chhaya hua dhuan hai fazaon mein in dinon us ki chubhan se maut hi behtar hai ham-nashin kanta chubha hai jo mere panw mein in dinon puna hai bambai hai safar hai qayam hai chakkar bandha hai ek mere panw mein in dinon 'aqib' bujha bujha sa tu lagta hai gar to kya suraj chhupa hua hai ghataon mein in dinon 'aqib' tere khulus ka hai moajiza ki log karte hain yaad tujh ko duaon mein in dinon