kitna poshida hawaon ka safar rakkha gaya aane wale mausamon se be-khabar rakkha gaya aaj bhi phirta hun us ki justuju mein har taraf kaun si basti mein aakhir mera ghar rakkha gaya chand mubham khwab aankhon mein liye phirta hun main aur kya mere liye zad-e-safar rakkha gaya doston mein kuchh meri pahchan to baqi rahe is liye mujh mein ajab rang-e-hunar rakha gaya us hatheli par chamakti ret ke zarre hain ab jis hatheli par kabhi ganj-e-guhar rakha gaya nok-e-neza par kabhi tasht-e-raunat mein kabhi har tamashe ke liye mera hi sar rakkha gaya mera apna khauf hi kya kam tha lekin ai 'rafiq' meri apni zat mein kis kis ka dar rakkha gaya