khair laya to junun diwar se dar ki taraf ab nazar jaane lagi bahar se andar ki taraf kashti-e-ummid ke har baadban udne lage kis ne rukh moda hawaon ka samundar ki taraf yun bhi hota hai madaraat-e-junun ke shauq mein phul jaise hath uth jate hain patthar ki taraf hum ne samjhe the ki ye hoga maal-e-kar-e-ishq rukh kiya baad-e-bahaari ne mere ghar ki taraf di hai 'nayyar' mujh ko saqi ne ye kaisi khas mai sab ki nazren uth rahi hain mere saghar ki taraf