kitna raushan tera shabab hua jalwa manind-e-aftab hua ab to dil ko zara qarar nahin dil lagana bhi ek azab hua baith kar ab muhasba karna tum se kitna gunah sawab hua lams pate hi un ke honton ka tha jo pani wahi sharab hua hont apne hain dant bhi apne jaane do jo hua janab hua zakhm us ne hamein diye itne us ka ab tak na kuchh hisab hua jo na bhata tha ek pal 'ramish' wahi lakhon mein intikhab hua