wo jo mujh se khafa ho gaya ek mahshar bapa ho gaya tha mera ghair ka ho gaya ba-wafa bewafa ho gaya kal to wahshi na tha is qadar aaj insan ko kya ho gaya khud pe yun naz karne laga husn jaise khuda ho gaya had se jab badh gaya dard-e-dil aap hi khud dawa ho gaya kis se 'ramish' karoge gila tha jo hona hua ho gaya