kitna sada shabab lagti ho ek taza gulab lagti ho aap husn-o-jamal ki surat ek shair ka khwab lagti ho aasman ke sabhi sitaron mein ek tumhin aaftab lagti ho kyun nasha ban ke chadh gain mujh par han purani sharab lagti ho zulf uljhi hui hai sawan si barsa barsa shabab lagti ho jis pe har bar main atakta hun wo sawal ai hisab lagti ho chand chhupta hai tum se sharma kar kitni tum la-jawab lagti ho ek muddat dabi dabi rah kar aaj tum inqalab lagti ho mujh ko dekha jo sath ghairon ke tum to jal kar kabab lagti ho ab khayalon mein bhi nahin ho tum ek mukammal azab lagti ho tum ne 'zuhaib' ko jo thukraya khud bhi khana-kharab lagti ho