kitna zalim meri chahat ka muqaddar nikla main jise aaina samjha tha wo patthar nikla sej phulon ki samajhta tha tere sath jise teri furqat mein wo kanton-bhara bistar nikla yaad-e-jaanan mein lagi dhup bhi sae ki tarah yaad-e-jaanan mein kabhi ghar se jo bahar nikla hain hasin aur bhi lekin jise chaha main ne meri nazron mein wo har ek se badh kar nikla jo ki dozakh thi wo jannat nazar aai duniya jab bhi mai-khane se bahar kabhi pi kar nikla ishq-e-laila ke sabab ho gaya kitna mashhur qais bhi kitna muqaddar ka sikandar nikla naz tha mujh ko bahut apni ana par lekin khud ko jab parkha to main auron se kamtar nikla dur se mujh ko samundar bhi laga misl-e-sarab pas se dekha to qatra bhi samundar nikla kaun khush-bakht zamane se ata hai yaro tazkira kis ki ajal ka hai jo ghar ghar nikla chashm-e-bina se 'zafar' dekha to mahsus hua yani har zarra bhi khurshid ka paikar nikla