kitne akhbar-faroshon ko sahafi likkha na-mukammal ko bhi khadim ne izafi likkha tu ne bhule se na samjhi mere jazbe ki kasak main ne barson teri aankhon ko ghilafi likkha hath utha sakte the mere bhi baghawat ka alam main ne har zulm ke khane main muafi likkha ishq ki khair ho allah ki na-shukron ne ek adhuri si mulaqat ko kafi likkha aap duniya ko samajhte rahen saman-e-tarab main ne sanson ko gunahon ki talafi likkha wo hi karta raha andar se malamat mujh ko main ne jo lafz usulon ke munafi likkha bewaqufon ne meri aabla-pai ka ilaj hansi aati hai ki hamdard ki safi likkha