shauq-e-awara yunhi khak-basar jaega chand chupke se kisi ghar mein utar jaega us ki sohbat bhi hai ek khwab-sara mein rahna wo jo chal dega to ye khwab bikhar jaega waqt har zakhm ka marham hai pa lazim to nahin zakhm jo us ne diya hai kabhi bhar jaega jins-e-taza ke kharidar pade hain har-su kaise be-kar mera harf-e-hunar jaega soch lije ki ye ayyam guzar jaenge matla-e-fikr bahar-taur nikhar jaega nakhuda kashti mein surakh kiye jata hai hum bhi dubenge wahin aap jidhar jaega shauq-e-didar mein us sarw-e-rawan ke 'shahid' mausam-e-gul mere aangan mein thahar jaega