kitne anjaan jaziron mein mujhe le ke chala dil ki an-dekhe zamanon mein mujhe le ke chala main ne kya rang sajae the tere khwabon mein aur tu kaise sarabon mein mujhe le ke chala be-ridai ke bhi din dekhne wale the ki jab hakim-e-waqt asiron mein mujhe le ke chala use malum tha nisbat meri sadat se hai jo baraste hue tiron mein mujhe le ke chala jab bhi khola hai da-e-shahr-e-masarrat to koi phir se nashad jahanon mein mujhe le ke chala dil ko be-rang si mahfil hi faqat bhati thi wahi viran se chehron mein mujhe le ke chala ja rahi thi main kidhar ko magar ai umr-e-rawan waqt ye kaun se lamhon mein mujhe le ke chala