majbur hain par itne to majbur bhi nahin jab un ko bhul jaen wo din dur bhi nahin kuchh to likhi hain apne muqaddar mein gardishen kuchh pyar mein nibah ka dastur bhi nahin main ne suna hai tark-e-talluq ke baad se afsurda gar nahin to wo masrur bhi nahin dekhi hain main ne aisi bhi dukhiya suhaganen byahi hain aur mang mein sindur bhi nahin ye jis ka zahr ruh mein meri utar gaya halka sa ghaw tha koi nasur bhi nahin us ki nazar se kyun kabhi guzre meri ghazal aisi to khas main koi mashhur bhi nahin