kitne asrar wahime mein hain

kitne asrar wahime mein hain
hum ki masruf khojne mein hain

ham-safar la-makan ko pahuncha
aur hum pahle marhale mein hain

to abhi tak dikha nahin hai hamein
hum abhi tak muraqabe mein hain

ye jo khidki ke par manzar hai
masala us ko dekhne mein hain

apni apni hi fikr hai sab ko
apne apne hi daere mein hain

waiza intizar kar thoda
shaikh-sahib to mai-kade mein hain

ye khirad ko shikast denge miyan
ye to majnun ke qafile mein hain

bhed jitne hain kaenat andar
ek nuqte ke silsile mein hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close