main ne sun rakkhi hai sahab ek kahani dariya ki sham kinare baith ke ek din wo bhi zabani dariya ki warna hum bhi aaine ke bhed se waqif ho jate hum ne apni man-mani ki ek na mani dariya ki ret ke chhote tukde par hi aabaadi maqsud hui usi bahane chaaron jaanib hai sultani dariya ki aankhen hi izhaar karen to shayad koi baat bane suraj dhalte waqt jo dekhi thi virani dariya ki subh-e-azal se ek hi jaise milte julte dariya hain kis ne dekhi kis ne jaani shakl purani dariya ki sat-samundar dekhne lag gae apne budhape ki jhuriyan apne joban par jab aai shokh jawani dariya ki