kitne bosida hain haalat musalmanon ke

kitne bosida hain haalat musalmanon ke
dil dukhate hain yahan faisle aiwanon ke

odhna aur bichhauna hua daulat un ka
bais-e-sharm yahan kaam hain sultanon ke

ye bhi mahbub ki yaadon mein magan hon shayad
shaikh ji aap kyon dushman hue diwanon ke

sahab-e-fikr madad-gar mujahid darwesh
ab to lagta hai ye kirdar hain afsanon ke

katna marna insan ka shewa to nahin
chhod do taur tariqe hain ye haiwanon ke

bas zara si ye gharibi hai sanam tal jae
chaak si lenge sanam apne garebanon ke

hum to guftar ke ghazi hain yahan sab 'anjum'
amn ke nam pe bhage hue maidanon ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close