kitne dardon mein dawaon ki si tasir bhi hai

kitne dardon mein dawaon ki si tasir bhi hai
tan ba-taqdir hi rah ja ki ye tadbir bhi hai

sun ke ek khwab hasin mere muabbir ne kaha
ye tera khwab tere khwab ki tabir bhi hai

mustawa apne liye kis ne kaha kaise chuna
isi duniya mein himala bhi hai pamir bhi hai

wasl-e-madhosh-kunan se gham-e-hijran khush-tar
ki tasawwur mein hai tu bhi teri taswir bhi hai

shokhi-e-husn ne chhodi na koi rah-e-farar
ek hi sans mein inzar bhi tabshir bhi hai

tum khuda ko to nahin mante lekin sahab
lakh tadbir karo tak mein taqdir bhi hai

dosh-e-sayyaad ke tarkash se faza sahm gai
dekhta kaun ki tarkash mein koi tir bhi hai

ye girah nakhun-e-tadbir se khulne ki nahin
phir bhi naumid na ho nakhun-e-shamshir bhi hai

sulhullah nahin jang bhi fillah nahin
nara-bazan koi shabbar koi shabbir bhi hai

ab to bas guzri hui umr basar karta hun
meri tanhai khamoshi bhi hai taqrir bhi hai

khud-kalami bhi na de sath agar munh se kahun
ek andoh jo gahra bhi hai gambhir bhi hai

imtihan hai ki saza aur saza hai jo ye umr
kitni taqsir hai ya sach koi taqsir bhi hai

isi bait-e-nabawi ke fuqara hum bhi hain
khuld bhi jis ke liye aaya-e-tathir bhi hai

hum ne bazar-e-jadidan mein bahut din dhunda
koi 'ghaalib' bhi hai 'iqbaal' bhi hai 'mir' bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close