jab koi aalam-e-shuhud na tha

jab koi aalam-e-shuhud na tha
main bhi ek khwab tha wajud na tha

apni takhliq se hua mahdud
warna main jaanta hudud na tha

mujh mein bhi lau thi aag thi pahle
mera sarmaya sirf dud na tha

jaane us ne mujhe kharida kyun
main ziyan hi ziyan tha sud na tha

tarz-e-izhaar ne kiya makhsus
khas ashaar ka warud na tha

ek asiri yahan thi shart-e-shanakht
aur main banda-e-quyud na tha

tujh se rangini-e-jahan hai 'suhail'
pahle ye rang-e-hast-o-bud na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close