kitne tafakkuraat se aazad ho gaya wo aadmi jo int pe sar rakh ke so gaya suraj dhala to taq mein jalta hua diya tarikiyon se bar-sar-e-paikar ho gaya apni ghalazaten thin ki az-rah-e-iltifat sailab shahar ke dar-o-diwar dho gaya ek dost se yahan bhi mulaqat ho gai rahna yahan bhi ab mera dushwar ho gaya ek aur khet pakki sadak ne nigal liya ek aur ganw shahar ki wusat mein kho gaya 'khalid' mujhe to achchhi tarah yaad bhi nahin wo hadsa jo kal meri palken bhigo gaya