kitni aasani se duniya ki girah kholta hai mujh mein ek bachcha buzurgon ki tarah bolta hai kya ajab hai ki udata hai kabutar pahle phir fazaon mein wo barud ki bu gholta hai rup kitne hi bharen kitne hi chehre badlen aaina aap ko apni hi tarah taulta hai soch lo kal kahin aansu na bahane pad jaen khun ka kya hai ragon mein wo yunhi khaulta hai hath uthata hai duaon ko falak bhi us dam jab parinda koi parwaz ko par taulta hai kaun waqif nahin sansar ke sach se lekin sab ka sansar ki har chiz pe man dolta hai