yaad tum aae to phir ban gain baadal aankhen dil ke virane ko karne lagin jal-thal aankhen meri aankhon ka koi abr se rishta hai zarur tut ke barsi ghata jab huin bojhal aankhen khwab ko khwab samajhti hi nahin jaane kyun dhundhti rahti hain ek shakhs ko pagal aankhen kaisa rishta hai talluq hai ye kaisa aakhir chot to dil pe lagi ho gain ghayal aankhen shokhiyan sharm-o-haya nur ke sae jhelen umr mein pahle-pahal dekhen mukammal aankhen jis tarah koi ghazal likkhi ho matlea ke baghair yun nazar aati hain akasr bina kajal aankhen ai 'shakil' un se kaho pyar se wo dur rahen dard ka bojh na sah paengi chanchal aankhen