kitni bulandiyon pe sar-e-dar aae hain kisi marka mein ahl-e-junun haar aae hain ghabra uthe hain zulmat-e-shab se to bar-ha nale hamare lab pe sharar-bar aae hain ai qissa-go azal se jo biti hai wo suna kuchh log tere fan ke parastar aae hain pai gulon se aabla-pai ki jab na dad diwane hain ki su-e-lab-e-khar aae hain gham-khwariyon ki tah mein dabi si masarraten yun mere pas bhi mere gham-khwar aae hain pahunche hain jab bhi khalwat-e-dil mein to ai nadim aksar hum apne aap se be-zar aae hain us bazm mein to mai ka kahin zikr tak na tha aur hum wahan se be-khud o sarshaar aae hain us ki gali mein hum ne luta di mata-e-jaan us ki gali se hum to subuksar aae hain karte rahe hain fan ki parastish tamam umr mahshar mein kaise kaise gunahgar aae hain 'jazbi' jo ho sake to meri hairaton se puchh kis tarah mere zehn mein ashaar aae hain