khud mujh ko bhi malum nahin hai ki main kya hun ab tak to khud apni hi nigahon se chhupa hun haalat ke narghe mein kuchh is tarah ghira hun mahsus ye hota hai tujhe bhul chuka hun samjha tha ki rudad nae daur ki hogi aaya hai tera nam to main chaunk utha hun shayad kabhi bachpan mein kahin sath raha hai aaine mein ek shakl ko pahchan raha hun zulfon ke mahakte hue sae ki talab mein tapti hui rahon pe bahut dur gaya hun mahjub sa tanhai ka ehsas khada hai bistar pe badi der se khamosh pada hun ab sochne baitha hun ki masraf mera kya hai majbur-e-mohabbat hun na paband-e-wafa hun suniye to 'muzaffar' ka har ek sher kahega main tute hue saz ki bechain sada hun