kitni der aur hai ye bazm-e-tarab-nak na kah ras aati hai kise gardish-e-aflak na kah kyun thaharta nahin gulzar mein koi mausam kya kashish rakhti hai khushbu-e-tah-e-khak na kah dekh to rang tamannaon ki betabi ke kal fana hai magar ai sahab-e-idrak na kah dard ki aanch abad tak hai kisi rup mein ho aaj ke phul ko aainda ke khashak na kah lafz ki zarb to hai saiqa-o-sang se sakht dil bahut narm hain na-gufta-o-be-bak na kah gham-gusaron ko bhi hai apne hi aalam se kaam dil pe jo biti hai ai dida-e-namnak na kah shauq hi zist bhi hai zist ki aagahi bhi is masiha-nafas-azar ko saffak na kah dil-e-farhad junun-fahm ko nadan na samajh chashm-e-parwez-e-tunuk-hosh ko chaalak na kah khud-numai thi ki tha mahbas-e-pindar ka khauf qais ke jaib-o-gareban rahe kyun chaak na kah bujh na jaen kahin dil ahl-e-tamanna ke 'ziya' kaise shoalon se hai ye jashn-e-tarab-nak na kah