kuchh aur pila nashat ki mai ye lazzat-e-jism hai ajab shai ab bhi wahi git hai wahi lai hum wo nahin anjuman wahi hai takhayyul mein har talab hai tahsil jo baat kahin nahin yahan hai karte tera intizar abad tak lekin tera e'tibar ta-kai mujh ko to na ras aai duri tujh mein bhi wo baat ab nahin hai diwangiyan kabhi miti hain har-chand raha zamana darpai samjhaen 'ziya' magar unhen kya dil hi se na baat ho saki tai