kitni dur se chalte chalte khwab-nagar tak aai hun panw mein main chhaale sah kar apne ghar tak aai hun kali raat ke sannate ko main ne pichhe chhod diya shab-bhar tare ginte ginte dekh sahar tak aai hun likhte likhte lafzon se meri bhi kuchh pahchan hui sari umr ki punji le kar aaj hunar tak aai hun shayad wo mitti se koi teri shakl bana pae tere khadd-o-khal batane kuza-gar tak aai hun suraj ki shiddat ne mujh ko kitna hai behaal kiya dhup ki chadar odh ke sar pe ek shajar tak aai hun babul ke aangan se ek din har beti ko jaana hai aankhon mein nae khwab saja kar tere dar tak aai hun apne hath mein ilm ki shama 'iram' ne thame rakkhi hai main to ek ujala le kar dida-war tak aai hun