'ishqi'-sahib likhna hai to koi nai tahrir likho ab tak tum ne khwab likhe ab khwabon ki tabir likho is uljhan ko suljhane ki kaun si hai tadbir likho ishq agar hai jurm to mujrim ranjha hai ya hir likho jahan bhi qasr-e-shirin dekho 'khusrow' ki jagir likho koh jahan hael hua us par khun se ju-e-shir likho dasht se aazadi ki hawaen un ko bulane aati hain ahl-e-junun ko rokne wali kaun si hai zanjir likho shahr-e-sukhan ke izzat-daro kuchh to kisi ka pas karo koi to hoga jis ko aakhir tum sahib-e-tauqir likho ham-watanon ke dard ka darman aisa kuchh dushwar nahin nam-e-watan hai ism-e-azam khak-e-watan iksir likho apni kamanden phenk ke jis ko qaid kiya hai zulmat ne wo suraj kab ubhrega kab phailegi tanwir likho apne ahd ki saffaki par ye khamoshi tanz nahin koi to hoga is ka sabab kyun baithe ho dil-gir likho jab tak sar se khun na bahega koh-kani hai kham khayal teshe ko khallaq kaho ya patthar ko taswir likho dha de jo insan ke dil mein rang o nasl ki diwaren koi to dastur-e-mohabbat aisa aalamgir likho har har daur ke likhne wale hashiye us ke likhte hain apne ahd mein nuskha-e-dil ki tum bhi koi tafsir likho harf ki taqat be-payan hai harf ke hain imkan bahut harf ko zinda karna sikho phir chahe taqdir likho dil par jis ke naqsh na ubhrin wo kya abru kaisi nazar kitna hi tum tir nazar ko abru ko shamshir likho raushan kaise hoga sawad-e-harf jo khun-e-dil na jala charba tum 'ghaalib' ka utaro chahe ba-rang-e-'mir' likho apne dukhde likh likh kar diwan to tum ne jama kiya dil ko jo badle ab koi aisa sher-e-pur-tasir likho