kitni hasin lagti hai chehron ki ye kitab satron ke bich dekhiye phaila hua azab chikhon ka karb naghmon ke shoale waraq waraq ehsas ban raha hai jawan dard ki kitab mizan-e-dil mein tauliye phulon se har umid lamhon mein ghul raha hai tamannaon ka shabab chehron pe aaj kitne naqabon ka bojh hai zakhmi hai aainon ke samundar mein har hijab ye zindagi hai sayon ka bikhra hua kafan dasht-e-safar hai khwab ka phaila hua sarab