har nazar mein hai asasa apna chaak-dar-chaak hai khema apna koi partaw hai na saya us ka jis ke hone se hai hona apna kis ki lau rah-e-sahar dekhegi sham ki sham hai shoala apna lipte jate hain kinaron se bhi aur dariya pe bhi dawa apna chhod baithe hain faqiri lekin abhi toda nahin kasa apna dar-e-khusraw pe chala hai farhad rehn rakh aae na tesha apna kin gumanon mein ghire ho 'yusuf' kabhi dekho to sarapa apna