kitni mahfuz zindagi thi kabhi dushmani thi na dosti thi kabhi ab faqat qahqahe lagata hun meri aankhon mein bhi nami thi kabhi soch kar ab qadam uthata hun meri rahon mein gum rahi thi kabhi ab dhuan hai jo pi rahe hain nam aag har mod par lagi thi kabhi ab to badla hai apna paimana jo buri hai wahi bhali thi kabhi tha safed-o-siyah se waqif meri aankhon mein raushni thi kabhi ab to tasbih le ke baithe hain hath mein jin ke lablabi thi kabhi sab ka mahbub ek tha 'hamdam' shahr mein ek hi gali thi kabhi