kisi qatil se na talwar se dar lagta hai aaj kya baat hai darbar se dar lagta hai khud ko odhe hue baitha hun kisi goshe mein har taraf shorish-e-bisyar se dar lagta hai sochta hun ki kahan tek laga kar baithun mujh ko khud apni hi diwar se dar lagta hai tut jae na kisi aan tasalsul us ka kyun mujhe sans ki takrar se dar lagta hai main ne qatil ka ada rol kiya hai 'hamdam' kyun mujhe apne hi kirdar se dar lagta hai