kitni mushkil se taqaza pas-e-guftar khula to kahin ja ke ye pairaya-e-izhaar khula kaun warid hua basti mein ki sab saudagar chhod ke aae hain bazar ka bazar khula sar kahin kham hai kahin pech ulajhte jaen tab-e-madhosh sambhal halqa-e-dastar khula khair hansne se tumhaare to hai duniya waqif mera girya bhi khula to pas-e-diwar khula kaise chadhte hue suraj ki parastish hogi raaz us waqt khula hum pe ki jab dar khula hadaf-e-chashm-e-siyah 'soz' main banna chahun jae khali na kisi taur koi war khula