kiya bagh-e-jahan mein nam un ka sarw kah kah kar kai aahen jo nikli thin mere sine se rah rah kar sahab-o-barq hain ya shisha-o-saghar hain kya hum tum ki hum jis waqt rowen tum hanso us waqt qah qah kar hamara girya dekhe chashm-e-kam se kyun na dariya ko samundar se kai jate hain yan ek pal mein bah bah kar hue jis gul ke hum chah-e-zaqan mein gharq kar denge mere yak qatra-e-shabnam mein bulbul dub chah chah kar dhamak wo aah ke nare ki apne hai ki gardun se sitare tute padte hain kuen jate hain dah dah kar bara-e-imtihan ushshaq par teghe chalata hai jo zakhmi ho ke girte hain to rah jata hai dah dah kar dila kuche se us ke aaj agar tu khair se aaya yahi din kal bhi hai dar-pesh shekhi se na pah pah kar namaz-e-shaikh ho itmam kyunkar sarqa dushman hai ki tute hai wuzu har bar jab khate hain ah ah kar imarat to dahe phir ban sake hai par tere hathon hue hain khak kya kya qasr-e-dil ai shokh dhah dhah kar na ho rukh se tere ai aah faujon ka muqabil rukh kiya tu ne sawaron ko piyaada mat shah shah kar lab-e-baam aa ke abru ki jhamak din sulh ke dikhla ki aalim dekhne ko shahar ka daude hai mah mah kar zamin mein gad gae dekh us qad-e-rana ko khajlat se lab-e-ju par akadte the khade kya sarw lah lah kar wafaen roz-e-awwal se meri tujh ko na khush aain jafa mein main teri aakhir hua bhar umr sah sah kar idhar to jama-chin khole hai us gul-ru ke daman ko udhar bulbul rakhe hai rakht-e-gul khajlat se tah tah kar ladata hai agar aghyar se tu roz-o-shab aankhen 'muhib' apne par ai zalim nigah-e-lutf gah gah kar