hansun jun gul tere zakhmon se ulfat is ko kahte hain tu gali de duaon mein mohabbat us ko kahte hain nahin gham hashr ka har-chand aafat is ko kahte hain phirun yaron ka munh dekhun qayamat is ko kahte hain mere sailab-ashkon mein bahe duniya, pa jun saya na sarka main jagah se istaqamat is ko kahte hain ata kar sim shabnam jun hansi subh apne ehsan par girah hui gul ki peshani par izzat is ko kahte hain dam-e-raushan-dili jo marte hain shama se zahid kate se nak sarkash-tar hain zillat is ko kahte hain bagule sa udata dhul 'uzlat' wajd karta hai sar-e-bazar ruswai mein khalwat is ko kahte hain