kiya gham ne sarayat be-nihayat karun kis sin shikayat be-nihayat hamare qatl par mufti ne gham ke nikala hai riwayat be-nihayat tu apne ghamza-e-khunin ki zalim abas mat kar himayat be-nihayat tere rukh par hujum-e-khal-o-khat nain ki hain mushaf mein aayat be-nihayat kiya hai ishq ke hadi ne mujh kun mohabbat ki hidayat be-nihayat shakar-lab ne nigah-e-dilbari sin kiya mujh par inayat be-nihayat 'siraj' ab dastan-e-shauq bas kar ki beja hai hikayat be-nihayat