kiya hai ishq ne aazad do-jahan se hamein na kuchh yahan se gharaz hai na kuchh wahan se hamein khudi ko bhul ke mast-e-alast ho jaana mila hai faiz ye khum-khana-e-mughan se hamein azan haram mein hai naqus hai kunisht mein to sadaen aati hain teri kahan kahan se hamein phir aaj uttha hai wo parda-e-hijab kahin shuaen si nazar aati hain kuchh yahan se hamein misal-e-shama hain sab raat-bhar ke ye jalwe sahar ko uthna hai is mahfil-e-jahan se hamein mita ke hasti-e-mauhum tujh ko paya hai pata mila hai tera khak-e-be-nishan se hamein chaman se uth gaya 'raunaq' jab aashiyan apna na phir bahaar se matlab na kuchh khizan se hamein