kiya hai sandalin-rangon ne dar band mera ho kis tarah se dard-e-sar band nahin hain tere dam-e-zulf mein dil latakte hain hazaron murgh par-band nahin but-khana o kaba pe mauquf hua har ek patthar mein sharar band raqibon se hui hai bazm khali karo darwaza be-khauf-o-khatar band tamasha band aankhon mein hai mujh ko hui meri ba-zahir chashm-e-tar band nahin duniya mein aazadi kisi ko hai din mein shams aur shab ko qamar band dikhao mai-kasho ab zor-e-masti kiya zahid ne mai-khane ka dar band dar-e-jaanan bhi ek marja hai 'bahram' hujum-e-ashiqan hai rahguzar band