duniya wahi hai aur wahi saman-e-zindagi

duniya wahi hai aur wahi saman-e-zindagi
lekin badalte rahte hain unwan-e-zindagi

kya kaam kar raha hai ye mehman-e-zindagi
bharta hai kyun gunah se daman-zindagi

wahshat-nasib hai sar-o-saman-zindagi
ulfat mein tar tar hai daman-zindagi

hai dekhne ki chiz bhi kuchh dekhta hai kya
sair-e-jahan hai khwab-e-pareshan-e-zindagi

kafi hai apne waste aaraish-e-wajud
aaraishon se pak hai daman-zindagi

maujon se khelta hua bahar nikal na ja
aakhir ye kis liye gham-e-tufan-e-zindagi

ek din hayat-o-maut ki is khinch-tan mein
hathon se chhut jaega daman-e-zindagi

marna hi jab jahan mein hai jine ka ma-hasal
nahaq uthaen kis liye ehsan-e-zindagi

samjhe hue the hum jise aish-o-tarab ka ghar
zindan-e-gham bana hai wo aiwan-e-zindagi

piri chalegi kya meri piri ke daur mein
aae kahan se pahli si ab shan-e-zindagi

hai fasl-e-gul ka zor bahaaron pe hai shabab
kya pur-faza hai aaj gulistan-e-zindagi

kis se wafa ki dahr mein 'khushtar' umid hai
ahd-e-wafa se dur hai paiman-e-zindagi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close