kiya hai tu ne to jaan-e-jahan jahan taskhir hua hai husn ka shohra tera to aalam-gir naha ke baal jo sarkae gore chehre se to jaise chand nikal aaya kali badri chir na khub-ru tujhe kah sakte hain na mahr na mah ajab gadhi yad-e-qudrat ne kuchh teri taswir jahan pada tera saya uga wahan gulzar qadam dhara hai tu jis ja bana hai mushk-o-abir shikar kar liya sara jahan shikar-andaz hua hai par nigah se teri nigah ka tir hue na zabh na fitrak tak ye ja pahunche idhar udhar hain tadapte ye nim-jaan nakhchir hai 'azfari' wo siyah-bakht sanp kata bhi padi hai zulf ki aa jis ke panw mein zanjir