kuchh dard badha hai to mudawa bhi hua hai har-su dil-e-betab ka charcha bhi hua hai purze bhi ude hain meri wahshat ke sar-e-rah nazron mein hamari ye tamasha bhi hua hai phute hain kahin aah bhare dil ke phaphole pamal koi shahr-e-tamanna bhi hua hai mana ki kadi dhup mein sae bhi mile hain is rah mein har mod par dhoka bhi hua hai raushan to hai yakh-basta fazaon mein koi aag tariki-e-zindan mein ujala bhi hua hai har lamha koi hadisa roke hai mere panw har pal kisi khwahish ka taqaza bhi hua hai kis mod pe aa pahuncha hai 'shahid' ye zamana raftar qayamat ki hai thahra bhi hua hai