kiya salam jo saqi se hum ne jam liya padhe darud jo pir-e-mughan ka nam liya chah-e-zaqan mein gira chahta tha dil mera daraaz umr ho zulf-e-rasa ne tham liya kisi ka zor zabardast par nahin chalna falak ne zulm kiya kis ne intiqam liya nasib-war thi zulekha jo paya yusuf ko kaniz ho gai is shakl ka ghulam liya bhara labon ne barabar dam-e-masihai jab us ke abruon ne hukm-e-qatl-e-am liya mizaj puchha kisi ka to un ka munh dekha kasak se hath mein aae agar salam liya lagaya tha kahin dil hum ne wo maza chakkha zaban ne phir na kabhi aashiqi ka nam liya bhara hai aankh mein jadu khula ishaare se zaban ka mizha-e-be-zaban se kaam liya bahut kamar ke lachakne ka hai khayal un ko jo do qadam bhi chale painchon ko tham liya chadha khumar jo sar par utar gai izzat amama rakh ke giro saghar-e-mudam liya utha ke dagh liya haq-e-sai ka paisa na murtashi ki tarah hum ne zar haram liya hawa ko jaan di main ne zamin ko mitti ada kiya dam-e-rukhsat jo qarz dam liya muaf ki hai khuda ne zaif par taklif sitam kiya agar ab dast-o-pa se kaam liya qasam na khaunga tison kalam ki ai 'bahr' kisi ka khwab mein bosa to la-kalam liya