zindagi ko ek khwab-e-raegan samjha tha main be-karan tabir hogi ye kahan samjha tha main rah-rau guzre chale jate the rah-e-zist par ek hujum-e-jism-o-jaan ko karwan samjha tha main itni nazdiki ki jaise chhu raha hun khud ko main harz-e-jaan hai wo jise wahm-o-guman samjha tha main tha bahut saffak tansikh-e-talluq ka fareb us ka aalam hai jise apna jahan samjha tha main be-talab aasuda kab hoti hai kisht-e-arzu be-guman dil ho rahega gulistan samjha tha main ek tawaqqoa thi ki ye lahja bhi samjhega koi chashm-e-khun-afshan ko andaz-e-bayan samjha tha main rabt-e-baham tha faqat lafz-o-bayan ka irtibaat hai koi rasm-e-wafa bhi darmiyan samjha tha main is qadar manus tha fitrat ke lahje ka jamal so use apna sukhan apni zaban samjha tha main ye to hain aaindagan ki raushni ke daere in ko ab tak apne qadmon ke nishan samjha tha main