kiya tha zabt ka dawa magar nibha na sake

kiya tha zabt ka dawa magar nibha na sake
hum apne dil ki lagi dil-lagi bana na sake

pahunch ke bazm mein yun roe hum ki ga na sake
ghazal to le ke gae the magar suna na sake

wo lambi daliyan sarson ki phul sarson ke
jab aae ganw se barson unhen bhula na sake

kisi ki bazm ka manzar jo dekh aai hun
unhen main kaise dikhaun jo log ja na sake

na hansiye hum pe ki hum to hain chot khae hue
unhin pe roiye jo log chot kha na sake

ajib husn hai tera ki hum teri taswir
banana chah rahe the magar bana na sake

wo ek subh ko aai thi ratjagon ke baad
phir us ke baad koi ratjaga mana na sake

jab us ne puchha ki kaisa mizaj hai 'anjum'
jigar mein dard wo uttha ki hum bata na sake


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close