kiye aarzu se paiman jo maal tak na pahunche shab-o-roz-e-ashnai mah o sal tak na pahunche wo nazar baham na pahunchi ki muhit-e-husn karte teri did ke wasile khad-o-khal tak na pahunche wahi chashma-e-baqa tha jise sab sarab samjhe wahi khwab mo'tabar the jo khayal tak na pahunche tera lutf wajh-e-taskin na qarar sharh-e-gham se ki hain dil mein wo gile bhi jo malal tak na pahunche koi yar jaan se guzra koi hosh se na guzra ye nadim-e-yak-do-saghar mere haal tak na pahunche chalo 'faiz' dil jalaen karen phir se arz-e-jaanan wo sukhan jo lab tak aae pe sawal tak na pahunche