kisi guman pe tawaqqoa ziyaada rakhte hain phir aaj ku-e-butan ka irada rakhte hain bahaar aaegi jab aaegi ye shart nahin ki tishna-kaam rahen garche baada rakhte hain teri nazar ka gila kya jo hai gila dil ka to hum se hai ki tamanna ziyaada rakhte hain nahin sharab se rangin to gharq-e-khun hain ki hum khayal-e-waz-e-qamis-o-libaada rakhte hain gham-e-jahan ho gham-e-yar ho ki tir-e-sitam jo aae aae ki hum dil kushada rakhte hain jawab-e-waiz-chabuk-zaban mein 'faiz' hamein yahi bahut hain jo do harf-e-sada rakhte hain