kiye tu ne dur aasman kaise kaise zamin ko dikhae saman kaise kaise idhar dil hai muztar udhar chashm-e-hairan hamare bhi hain raazdan kaise kaise uthae hain didar-e-laila ki khatir shutar-ghamza-e-sarban kaise kaise kidhar hain kiyani-o-rumi-o-mughli jahan se uthe khandan kaise kaise bas ek hasrat-aluda tarz-e-nigah mein sukhan kah gae be-zaban kaise kaise ghazab hai teri nim-baz aankh zalim hazaron kiye nim-jaan kaise kaise ajab kya ki har zarra-e-khak-e-dil ho mile khak mein gulsitan kaise kaise zara jhank khidki se zalim padi hain tere dar pe be-khanuman kaise kaise haya naz pindar raghb-o-taghaful tumhaari bhi hain pasban kaise kaise kabhi ho ke pani bahaya na 'hasrat' hue dil mein jaur-e-butan kaise kaise