khusha wo bagh mahakti ho jis mein bu teri khusha wo dasht ki ho jis mein justuju teri khamosh hai magar ek aalam-e-takallum hai labon pe ghunche ke goya hai guftugu teri jigar bhi chaak hua dil bhi para-para hua lagi hui hai magar dil se aarzu teri muqabil rukh-e-zeba na hona ai gul-e-tar kahin na khak mein mil jae aabru teri asir-e-sahn-e-gulistan nahin dil-arai shamim-e-lutf dil-afza hai ku-ba-ku teri tariq-e-ahl-e-nazar mein hai mana yaksui zi-bas-ki jalwa-firozi hai chaar-su teri hanuz dasht-e-khutan nafa-zar-e-alam hai kabhi khuli thi udhar zulf-e-mushk-bu teri farishta-e-ajal aae pari ke qalib mein ba-waqt-e-marg jo surat ho ru-ba-ru teri umid-e-lutf pe 'hasrat' hai bagh-e-rizwan mein suna hai jab se ki lutf-o-karam hai khu teri