koh-e-gham se kya gharaz fikr-e-butan se kya gharaz ai subuk-rui tujhe bar-e-garan se kya gharaz be-nishani-e-mohabbat ko nishan se kya gharaz ai yaqin-e-dil tujhe wahm-o-guman se kya gharaz nala-e-be-saut khud banne laga mohr-e-sukut be-zabani ko hamari ab zaban se kya gharaz jauhar-e-zati hain us ki teziyan ai sang-dil tegh-e-abru ko teri sang-e-fasan se kya gharz jab mohabbat mein hui ruswai apni parda-dar raaz se phir kya talluq raaz-dan se kya gharaz jaan de kar zinda-e-jawed ho jata hai wo maut ke khwahan ko umr-e-jawedan se kya gharaz main ye kahta hun ki donon mein zaruri lag hai wo ye kahte hain zamin ko aasman se kya gharaz dahr mein jo kuchh bhi hona tha wo ho kar hi raha ab guzishta wardaton ke bayan se kya gharaz jis mein qudrat khud nishane par pahunch jaane ki ho 'qadr' phir us tir ko sai-e-kaman se kya gharaz