khamosh is tarah se na jal kar dhuan utha ai shama kuchh to bol kabhi to zaban utha but ban ke chupke fitne na yun meri jaan utha munh mein agar zaban hai to lutf-e-zaban utha hai koson dur manzil-e-anjam-e-guftugu tezi ke sath apne qadam ai zaban utha dar hai yahi ki kashti-e-mazmun na dub jae rah rah ke itni maujen na bahr-e-zaban utha ab daur mein hai rindon ke paimana-e-kalam phir aa gai bahaar phir abr-e-zaban utha kar is qadar na zauq-e-takallum ko sharmsar apna sar-e-niyaz kabhi to zaban utha kahta hai 'qadr' dekh ke tere sukut ko kuchh faeda kalam se bhi ai zaban utha