koh ke sine se aab-e-atashin lata koi is nawa-e-agahi ko dub kar gata koi dekhta masti ka sangam lab hai ya guftar hai jam se mere jo apna jam takraata koi baadalon ki tarah aaya barq-asa chal diya chand ki manind shab bhar to thahar jata koi husn ka dil se talluq daimi hai garm hai warna kis ka kis se hai rishta koi nata koi mangne ko mang len ashaar-e-gham se dilkashi mil nahin sakta hai un ko fikr sa data koi nazish-e-farda mera husn-e-taghazzul hai 'hasan' ranj hota aaj gar kuchh qadr farmata koi